Mera Dard Uthakar To Dekho

आइना हूँ मैं मेरे सामने आकर देखो
खुद नज़र आओगे जो आँख मिला कर तो देखो

मेरे गम में मेरी तक़दीर नज़र आती है
डगमगा जाओगे मेरे दर्द उठा कर तो देखो


Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Kar To Dekho

Mere Gam Mein Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dagmagaa Jaoge Mera Dard Utha Kar To Dekho


Mera Dard Uthakar To Dekho
Mera Dard Uthakar To Dekho

कच्ची दिवार हु, ठोकर ना लगाना मुझको
अपनी नज़रों मे बसा कर, न गिराना मुझको

तुम को आँखों मै तसवीर की तरह रखते है
दिल में धड़कन की तरह तुम भी बसाना मुझको


Kacchi Diwar Hu, Thokar Na Lagana Mujhko
Apni Nazro Mai Basa Ker, Na Giraana Mujhko

Tum Ko Aankhon Mai Tasaweer Ki Tarah Rakhte Hai
Dil Mein Dhadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujhko


वह सामने आई तो नज़रों को झुका लूंगा
देखूँगा नहीं फिर भी तस्वीर बना लूंगा

आना है तो आजाओ रुस्वाई नहीं होगी…
देखेगा नहीं कोई, पलकों में छुपा लूंगा


Woh Samne Aayi To Nazro Ko Jhuka Lunga
Dekhunga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Lunga

Aana Hai To Aajao Ruswayi Nahi Hogi…
Dekhega Nahi Koi, Palko Mein Chhupa Lunga

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *