Wo Kya Jaane Mere Gham Ko

हम हस्ते है तो उन्हें लगता है,
हमे आदत है मुस्कुराने की

वो ज़ालिम क्या जाने,
यह भी तो एक अदा है ग़म छुपाने की


Hum Haste Hai To Unhe Lagta Hai,
Hume Aadat Hai Muskurane Ki,

Wo Jalim Kya Jane,
Yeh Bhi To Ek Ada Hai Gham Chupane Ki


Wo Kya Jaane Mere Gham Ko
Wo Kya Jaane Mere Gham Ko

मरने का तेरे गम में इरादा भी नहीं है
हैं इश्क मगर इतना ज़्यादा भी नहीं है


Marne Ka Tere Gam Mein Iraada Bhi Nahi Hai
Hai Ishq Magar Itna Ziyaada Bhi Nahi Hai


सच बात मान लीजिये चेहरे पे धूल है
इल्ज़ाम आईने पे लगाना बे फिजूल है

तेरी नवाज़िशें हो तो कांटे भी फूल है
ग़म भी मुझे क़ुबूल, ख़ुशी भी मुझे क़ुबूल


Sach Baat Maan Leejiye Chehre Pe Dhul Hai
Ilzaam Aaino Pe Lagaana Be Fizuul Hai

Teri Nawazishe Ho To Kanta Bhi Ful Hai
Gham Bhi Mujhe Qubul, Khushi Bhi Qubul Hai


एक यही आस हे काफ़ी है मेरे जीने में
दिल नहीं आप आप हो मेरे सीने में

तुझसे जो ज़ख़्म मिले दिल से लगा लेता हूँ
कितनी लज़्ज़त है तेरी प्यार के ग़म पीने में


Ek Yahi Aas Hi Kafi Hai, Mere Jeene Mein
Dil Nahi Aap Dharakte Ho Mere Seene Mein

Tujh Se Jo Zakham Mile Dil Se Laga Leta Hoon
Kitni Lazzat Hai Teri Pyar Ke Gam Peene Mein

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *